par uss se pehle hamein to tiger bachana hai,
sahi bhi hai,
Insaan to bahut hain, sir
aur rozana badh rahe hain,
magar bagh bechare aaj kal
parivar niyojan kar rahe hain,
jaanwar hain saale,
par phir bhi
sarkari yojnao par amal kar rahe hain,
tabhi to uchch shreni ke log
unhe bachane ke liye jud rahe hain,
Aur manushyon ka kya
unhe kitna bhi maro,par kam nahin hote.

No comments:
Post a Comment